Showing posts with label Sunehri Batain. Show all posts
Showing posts with label Sunehri Batain. Show all posts

Wednesday, May 24, 2017

Duniya ka kamzor insan

Baap ne baiTe ke kandhon par haath rakh kar poocha !
batao duniya ka taqatwar insan kaun hai,
BaiTe ne jawab dia k mein hu.
phir baap ne kandhon se haath haTta kar poocha k duniya
ka kamzor insan kaun hai,
to baite ne jawab dia k mein hu,

Baap ne poocha k woh kiyon to baita bola ke jab Aap ka haath
Mere kandhey par tha to mein khud ko duniya ka taqatwar insan
samajhta tha aur jab ap ne hath uThaya to mein duniya ka kamzor
insan
ban gaya...
'Urdu sunehri batain'
sunehri urdu aqwal, new aqwale zareen, anmol batain
Sunehri batein

Thursday, May 12, 2016

Wo Allah hi hai

Jab andhera tumhein charo taraf se gher le tab tum uss
Hasti ko bulana jo tumse sabse ziyada mohabbat karta hai
Be-shak wo ALLAH hi hai, wahi tumhain andhero se nilkal
roshni ki janib le jaye ga.......
'sunehri batein sms'

Thursday, April 14, 2016

Insan ke kitne aib hote hain

Kisi ne ek buzarg se poocha !
Insan ke kitne aib hote hain?
Jawab dia Be-shumar lekin ek khubi sab par parda Dalti hai
Poocha konsi?
Jawab mila "Zuban par Qaboo"
'Urdu Sunehri batain'
urdu aqwal-e-zareen, achi batein,anmol batein
Sunehri batein

Tuesday, July 14, 2015

ALLAH ka Dar

Do cheezein baDi ahem hain, ALLAH ka Dar aur
ALLAH ka dar jis shakhs ko ye do naimatein
naseeb ho gaein samjho ! usko duniya ki tamaam
saadaten naseeb ho gaein, Dar ho ga to gunahon
se bacha rahe ga aur dar naseeb ho ga to ibadat
ki lazat naseeb ho gi.......
'Islamic Sunehri batein'
sunehri aqwale zareen,achi batein facebook, danayi ki batain
Sunehri batein

Friday, June 26, 2015

Kis cheez ka guroor

Insan poori zindagi mein Teen cheezon k liye
mehnat karta hai, Mera naam auncha ho,
Mera libas achha ho Mera makan khubsoorat ho
Lekin wafat hote hi ALLAH PAK uski teen cheezon
ko badal deta hai... Naam "Marhoom" Libas "Kafan"
Aur makan "qabar" to phir Aey insan tu kis cheez
par guroor
karta hai...........
'Sunehri batain , Achi batain'
urdu sunehri batain, aqwale zareen, achi batein
Sunehri batain

Sunday, March 29, 2015

Bura waqt wo shafaaf Aaina hai

Bura waqt wo shafaaf Aaina hai jo bohat se
chehrey wazeh kar deta hai aur achha waqt
badalon ki tarah hai jo suraj ki tapish tak
ko rok leta hai.....
'Sunehri batain , Achi batain'
sunehri batain, anmol batain, danai ki batain,sunehri sms
sunehri batain

Saturday, December 6, 2014

Achi buri shakhsiyat

Zuban insan ki achi ya 'buri shakhsiyat ke
raaz ko ugal deti hai......
'Sunehri batain'
sunehri baatein,aqwal e zareen,achi batain
sunehri batein pics

Saturday, November 22, 2014

tumhari rooh k liye

Tumhari rooh ke liye is se baRh kar 'koi marz
nahi' k tum 'khud ko kamil samajhne lago'...
(Hazrat maulana room R-A)
'sunehri batain'
sunehri batain facebook , urdu hikayat , achi batain
Urdu aqwal pics

Tuesday, November 18, 2014

Niyat kitni bhi achi ho

Niyat kitni bhi achi ho !
Dunya tum ko 'tumhare dikhawe se janti hai'
Aur ! dikhawa kitna bhi acha ho 'Allah tum ko
tumhari niyat se janta hai'...
'Anmol urdu batein'
sunehri baatein , achi batain , danayi ki batain
sunehri batain

Thursday, October 23, 2014

Naseehat wo sachi baat hai

Naseehat wo sachi baat hai jisey
Hum kabhi 'Gor se nahi suntey' Aur
'Khushamad ek bad tareen dhoka hai'
jisey hum 'poori tawaja se suntey hain'..
'urdu Sunehri batain'
sunehri batain , aqwal-e-zareen facebook , sunehri aqwal
Sunehri baatain pics

Monday, September 8, 2014

rishton k dukh

Zindagi k do pehlu hain kabhi kabhi rishte nibhate nibhate 'rastey
kho jate hain' aur kabhi kabhi 'raston par chalte chalte' rishtey ban
jate hain'.kisi ko rishte 'raas ajate hain' to kisi ko rastey.furq bas
itna hai' raston k dukh' 'bardasht ho jate hai' rishton k nahi...
'sunehri batain'
urdu sunehri baatein
sunehri baatein images

Wednesday, August 20, 2014

Dil mein utar jata hai

Guftagu aesi cheez hai jis ki waja se
insan ya to 'dil mein utar jata hai' ya
'dil se utar jata hai'...
'Sunehri batein in urdu'
sunehri baatein in urdu
sunehri baatein

Monday, July 14, 2014

khush naseeb insan

sunehri batain facebook
Sunehri batain pics
Dunya ka khubsoorat tareen lafz : Allah
Dunya ka meeTha tareen naam' : muhammad
Dunya ki mukamal tareen kitab' : Quran
Dunya ki mukamal tareen warzish' : namaz
Dunya ka khubsoorat tareen pegham' : Azan
Dunya ka khush naseeb insan' Aap kyonke
Alhamdulillah 'aap musalman hain'
'Khubsoorat batain'

Wednesday, July 9, 2014

rishte kamzor ho jate hain

Tanz aur behes se rishte kamzor ho jate hain
Lehaza 'apno se kabhi bhi' aesi laRai na karna
k laRai to jeet jao magar 'apno ko haar jao'.
'urdu anmol batein'
sunehri batain in urdu hindi
Sunehri batain pics

Tuesday, March 11, 2014

Honton ki muskarahat dil ki tarjumani

Honton ki muskarahat dil ki tarjumani nahi
kar sakti' Lekin 'Aankh ke Aansoo' 'dil keDil ke
tarjuman Zaroorhote hain'...
'Urdu achi batain'
sunehri batain images
sunehri batain

Friday, February 28, 2014

Mohabbat ko amar karna chahte ho to

Mohabbat ko amar karna chahte ho to Uss
Shakhs se bichar jao' jisey tumne Chahat ki
Akhri hadon tak chaha hai..
'Sunehri baatein in urdu'
sunehri batain
سنہری باتیں-اقوالِ زریں

Saturday, February 22, 2014

Rishte khoon ke nahi hote

Rishte khoon ke nahi aehsas ke hote hain agar aehsas
ho to 'ajnabi bhi apne ho jate hain' aur agar aehsas na ho
to 'apne bhi ajnabi ho jate hain'......
'Anmol Sunehri batain'
رشتے خون کے نہيں احساس کے ہوتے ہيں اگر احساس
ہو تو اجنبی بھی اپنےہو جاتے ہيں اور اگر احساس نہ ہو
تو اپنے بھی اجنبی ہو جاتے ہیں۔۔۔۔۔۔۔۔۔
 سنہری باتیں-اقوالِ زریں

Saturday, February 15, 2014

Galat fehmi aur shak ka beej

Galat fehmi aur shak ka beej hanste muskarate 'ghar ko
veeran kar deta hai' is se pehley ke shak ka beej 'tanawar
darakht ban jaye' aapas mein baat cheet ke zariye 'galat
fehmi ko dor kar lena chahiye'.....
'Sunehri batain in urdu'

غلط فہمی اور شک کا بیج ہنستے مسکراتے گھر کو ویران
کر دیتا ہے اس سے پہلے کہ شک کا بیج تناور درخت بن
جائے آپس میں بات چیت کے ذریعے غلط فہمی کو دور کر لینا چاہیے
(سنہری باتیں- اقوالِ زریں)

Thursday, February 6, 2014

Aap ke saans ginti ke

Aap ke saans ginti ke muqarar ho chuke hain
'na koi haadsa Aap ko pehle maar sakta hai' na
koi hifazat 'aap ko der tak zinda rakh sakti hai'..
'Anmol Sunehri batain'
 
 آپ کے سانس گنتی کے مقرر ہو چکے ہیں
نہ کوئی حادثہ آپ کو پہلے مار سکتا ہے
نہ کوئی حفاظت آپ کو دیر تک زندہ رکھ
سکتی ہے۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
(سنہری باتیں-اقوالِ زریں)

Monday, January 27, 2014

Dard humain insan nahi deta

Dard humain insan nahi deta balke Insan
se wabasta ki jane wali umeedein 'humare
liye dard ka baa'is ban jati hain'..
'Sunehri batain in urdu'

درد ہمیں انسان نہیں دیتا بالکہ انسان سے
وابستہ کی جانے والی امیدیں ہمارے لیے
درد کا باعث بن جاتی ہیں۔۔۔۔۔
(اقوالِ زریں-سنہری باتیں)